Sunday 1 April 2012

Faiz Ahmed Faiz


vo buto.n ne Daale hai.n vasvase ki dilo.n se Khauf-e-Khudaa gayaa 

vo buto.n ne Daale hai.n vasvase ki dilo.n se Khauf-e-Khudaa gayaa
vo pa.Dii hai.n roz qayaamate.n ki Khayaal-e-roz-e-jazaa gayaa 
[vasvase=doubts; Khauf-e-Khudaa=fear of God]
[Khayaal-e-roz-e-jazaa=(any) thought about the day of judgement] 
jo nafas thaa Khaar-e-gul banaa jo uThaa to haath qalam huye
vo nishaat-e-aah-sahar ga_ii vo viqaar-e-dast-e-duaa gayaa 
[nafas=breath; Khaar=thorn; qalam honaa=chopped off]
[nishaat-e-aah-sahar=pleasure in the morning plea]
[viqaar-e-dast-e-duaa=respect for the hands raised in prayer] 
na vo rang fasl-e-bahaar kaa na ravish vo abr-e-bahaar kii
jis adaa se yaar the aashnaa vo mizaaj-e-baad-e-sabaa gayaa 
[aashnaa=known; mizaaj=nature/state of being] 
abhii baadabaa.N ko tah rakho abhii muzatarib hai ruKh-e-havaa
kisii raaste me.n hai.n mu.ntazir vo sukuu.N jo aake chalaa gayaa 
[tah=to keep closed; muzatarib=impatient; mu.ntazir=waiting] 


Yaad
dasht-e-tanahaaii me.n ae jaan-e-jahaa.N larazaa.N hai 




dasht-e-tanhaa_ii me.n ai jaan-e-jahaa.N larzaa.N hai.n
terii aavaaz ke saaye tere ho.nTho.n ke saraab
dasht-e-tanhaa_ii me.n duurii ke Khas-o-Khaak tale
khil rahe hai.n tere pahaluu ke saman aur gulaab

uTh rahii hai kahii.n qurbat se terii saa.Ns kii aa.Nch
apanii Khushbuu me.n sulagtii hu_ii maddham maddham
duur ufaq par chamakatii hu_ii qatraa qatraa
gir rahii hai terii dil_daar nazar kii shabnam 

us qadar pyaar se ai jaan-e jahaaN rakkhaa hai
dil ke ruKhsaar pe is vaqt terii yaad ne haath
yuu.N gumaa.N hotaa hai garche hai abhii subah-e-firaaq
Dhal gayaa hijr kaa din aa bhii ga_ii vasl kii raat 







ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa 



ye kis Khalish ne phir is dil me.n aashiyaanaa kiyaa
phir aaj kis ne suKhan ham se Gaayebaanaa kiyaa

[Gaayebaanaa=hidden/invisible]
Gam-e-jahaa.N ho, ruKh-e-yaar ho ke dast-e-uduu
salook jis se kiyaa hamane aashiqaanaa kiyaa

[dast-e-uduu=enemy's hands]
the Khaak-e-raah bhii ham log qahar-e-tuufaa.N bhii
sahaa to kyaa na sahaa aur kiyaa to kyaa na kiyaa

[qahar-e-tuufaa.N=storm's fury]
Khushaa ke aaj har ik mudda_ii ke lab par hai
vo raaz jis ne hame.n raa.Nd-e-zamaanaa kiyaa

[Khushaa=matter of joy; mudda_ii=plaintiff]
[raa.Nd-e-zamaanaa=society's outcast]

vo hiilaagar jo vafaajuu bhii hai jafaaKhuu bhii
kiyaa bhii "Faiz" to kis but se dostaanaa kiyaa

[hiilaagar=one who makes excuses; vafaajuu=faithful (in love)]
[jafaaKhuu=unfaithful by habit]








yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa rang 






yuu.N sajaa chaa.Nd ki jhalakaa tere a.ndaaz kaa rang
yuu.N fazaa mahakii ki badalaa mere hamaraaz kaa rang 

saayaa-e-chashm me.n hairaa.N ruKh-e-raushan kaa jamaal
surKhii-e-lab pe pareshaa.N terii aavaaz kaa rang 

bepiye ho.n ki agar lutf karo aaKhir-e-shab
shiishaa-e-may me.n Dhale subah ke aaGaaz kaa rang 

cha.ngo-nay rang pe the apane lahuu ke dam se
dil ne lay badalii to madham huaa har saaz kaa rang 

[cha.ng= a type of musical instrument; nay=flute] 
ik suKhan aur ki phir rang-e-takallum teraa
harf-e-saadaa ko inaayat kare ejaaz kaa rang 

[takallum=conversation; ejaaz=miracle] 




No comments:

Post a Comment