Sunday 1 April 2012

Faiz Ahmed Faiz


sach hai.n hamii.n ko aap ke shikave bajaa na the 

sach hai.n hamii.n ko aap ke shikave bajaa na the
beshak sitam janaab ke sab dostaanaa the
[shikave=complaints; bajaa=befitting; sitam=oppresion]
haa.N jo jafaa bhii aap ne kii qaayede se kii
haa.N ham hii kaaraaba.nd-e-usuul-e-vafaa na the
[kaaraba.nd=complying (with)]
aaye to yuu.N to ke jaise hameshaa ke meharabaa.N
bhuule to yuu.N ke goyaa kabhii aashanaa na the
[goyaa=as if; aashanaa=friend/acquaintance]
kyo.n daad-e-Gam ham ne talab kii, buraa kiyaa
ham se jahaa.N me.n kushtaa-e-Gam aur kyaa na the
[talab=martyr]
gar fikr-e-zaKhm kii to Khataavaar hai.n ke ham
kyo.n mahv-e-madh-e-Khuubii-e-teG-e-adaa na the
[Khataavaar=guilty; mahv=engrossed; madh=praise; teG=sword]
har chaaraagar ko chaaraagarii se gurez thaa
varnaa hame.n jo dukh the bahut laadavaa na the
[chaaraagar=healer; gurez=evasion; laadavaa=incurable]
lab par hai talKhi-e-may-e-ayyaam varnaa "Faiz"
ham talKhi-e-kalaam par maa_il zaraa na the
[talKhii=bitteress; may=wine; ayyaam=daily life; maa_il=fond of]

shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aake Tal gaii 




shaam-e-firaaq ab na puuchh aaii aur aake Tal gaii
dil thaa ke phir bahal gayaa, jaa.N thii ke phir sambhal gaii
bazm-e-Khayaal me.n tere husn kii shamaa jal gaii
dard kaa chaa.Nd bujh gayaa, hijr kii raat Dhal gaii
jab tujhe yaad kar liyaa, subha mahak mahak uThii
jab teraa Gam jagaa liyaa, raat machal machal gaii
dil se to har muaamalaa karake chale the saaf ham
kahane me.n unake saamane baat badal badal gaii
aaKhir-e-shab ke hamasafar 'Faiz' na jaane kyaa hue
rah gaii kis jagah sabaa, subha kidhar nikal gaii
Jinaah Hospital, Karachi
July 1953



shaiKh saahab se rasm-o-raah na kii
shaiKh saahab se rasm-o-raah na kii
shukr hai zindagii tabaah na kii

tujh ko dekhaa to ser-e-chashm hue
tujh ko chaahaa to aur chaah na kii

tere dast-e-sitam kaa ajz nahii.n
dil hii kaafir thaa jis ne aah na kii

the shab-e-hijr kaam aur bahut
ham ne fikr-e-dil-e-tabaah na kii

kaun qaatil bachaa hai shahar me.n 'Faiz'
jis se yaaro.n ne rasm-o-raah na kii

Contributed by Abhay Ghasias 

Soch
kyuu.N meraa dil shaad nahii.n hai 
kyuu.N meraa dil shaad nahii.n hai kyuu.N Khaamosh rahaa karataa huu.N
chho.Do merii raam kahaanii mai.n jaisaa bhii huu.N achhaa huu.N 
meraa dil Gam_Gii.N hai to kyaa Gam_Gii.n ye duniyaa hai saarii
ye dukh teraa hai na meraa ham sab kii jaagiir hai pyaarii 
tuu gar merii bhii ho jaaye duniyaa ke Gam yuu.N hii rahe.nge
paap ke pha.nde, zulm ke ba.ndhan apane kahe se kaT na sake.nge 
Gam har haalat me.n mohalik hai apanaa ho yaa aur kisii kaa
ronaa dhonaa, jii ko jalaanaa yuu.N bhii hamaaraa, yuu.N bhii hamaaraa 
[mohalik=fatal]
kyuu.N na jahaa.N kaa Gam apanaa le.n baad me.n sab tadabiire.n soche.n
baad me.n sukh ke sapane dekhe.n sapno.n kii taabiire.n soche.n 
be-fikre dhan daulat waale ye aaKhir kyuu.N Khush rahate hai.n
inakaa sukh aapas me.n baa.Nte.n ye bhii aaKhir ham jaise hai.n 
ham ne maanaa ju.ng ka.Dii hai sar phuuTe.nge,Khuun bahegaa
Khuun me.n Gam bhii bah jaaye.nge ham na rahe.n, Gam bhii na rahegaa 


Subh-e-aazaadii
ye daaG daaG ujaalaa, ye shab_gaziidaa sahar 




ye daaG daaG ujaalaa, ye shab_gaziidaa sahar
wo intazaar thaa jis kaa, ye wo sahar to nahii.n
ye wo sahar to nahii.n jis kii aarazuu lekar
chale the yaar ki mil jaayegii kahii.n na kahii.n
falak ke dasht me.n taro.n kii aaKharii ma.nzil
kahii.n to hogaa shab-e-sust mauj kaa saahil
kahii.n to jaa ke rukegaa safinaa-e-Gam-e-dil
jawaa.N lahuu kii pur-asaraar shaaharaaho.n se
chale jo yaar to daaman pe kitane haath pa.De
dayaar-e-husn kii be-sabr Khwaab-gaaho.n se
pukaratii rahii.n baahe.n, badan bulaate rahe
bahut aziiz thii lekin ruKh-e-sahar kii lagan
bahut qarii.n thaa hasiinaan-e-nuur kaa daaman
subuk subuk thii tamannaa, dabii dabii thii thakan
sunaa hai ho bhii chukaa hai firaq-e-zulmat-e-nuur
sunaa hai ho bhii chukaa hai wisaal-e-ma.nzil-o-gaam
badal chukaa hai bahut ahl-e-dard kaa dastuur
nishaat-e-wasl halaal-o-azaab-e-hijr-e-haraam
jigar kii aag, nazar kii uma.ng, dil kii jalan
kisii pe chaaraa-e-hijraa.N kaa kuchh asar hii nahii.n
kahaa.N se aaii nigaar-e-sabaa, kidhar ko gaii
abhii chiraaG-e-sar-e-rah ko kuchh Khabar hii nahii.n
abhii garaani-e-shab me.n kamii nahii.n aaii
najaat-e-diida-o-dil kii gha.Dii nahii.n aaii
chale chalo ki wo ma.nzil abhii nahii.n aaii
August 1947



No comments:

Post a Comment